kitne nadaan hain zamane wale,
kaam he hote hain log hasaane wale.
ansuo ke samander main dubote hain bahut,
dil ke gahraiyon ko chuain asie kam hote hain dost.
tanha manzil per chalte rahe lekin,
na jane kise kadmo ke talash main hai meri nazar.
jinhe bhi chaha khud se badhkar,
agye nikal gaye wo hame bich raah chod kar.
piche mud kar dekhna bhi gawara na tha unhe,
fir kyun kaha k yaad rakhna tum hame.
ek ijhaar he to kiya tha hamne sirf,
fir kyun dur kar diya mujhe duniya k waaste?
No comments:
Post a Comment