Wednesday, June 25, 2008

Jo Bhi Buraa Bhalaa Hai, Allah Jaantaa Hai Bande Ke Dil Mein Kya Hai, Allah Jaantaa Hai Ye Farsh-O-Arsh Kya Hai, Allah Jaantaa Hai Pardoon Mein Kya Chhipaa Hai, Allah Jaantaa Hai Jaa Kar Jahaan Se Ko_ii, Vaapas Nahiin Hai Ata Vo Kaun Si Jagah Hai, Allah Jaantaa Hai Nekii Badi Ko Apnii, Kitnaa Hii Tu Chhipaaye Allah Ko Pataa Hai, Allaah Jaantaa Hai Ye Dhuup Chhaon Dekho, Ye Subah Shaam Dekho Sab Kyun Ye Ho Rahaa Hai, Allah Jaantaa Hai Qismat Ke Naam Ko To, Sab Jaante Hain Lekin Kismat Mein Kya Likha Hai, Allah Jaantaa Hai

No comments: